Mai Aur Meri Tanhai
Posted in Love Poem
No comments:
Monday, September 28, 2015
Mai aur meri tanhai baithe the aaj..
Aur ho rahi thi mere pyar ki baat...
Tanhai ne kaha kaisa pyar hai tera..
Jo aaj tak hai usne muh fera..
Main tha chup aur isse tanhai thi hayran...
Main tha shant aur isse tanhai the pareshan..
Tanhai ne kaha kya mila tujhe pyar mein..
Isse achha baitha hota kahi aisi baharon mein..
Tanhai boli kaya hai ab paas mein tere..
Chha gaye hai badal aur gamo ki andhere..
Main tha chup aur isse tanhai thi hayran...
Main tha shant aur isse tanhai the pareshan..
Tanhai ne kaha ki pyar mein bahut fareb hai dhoka hai...
Ja kuchh aur kar pyar ke alaba tujhe kya kisine roka hai...
Tanhai ne kaha kya hai yeh pyar ke ajooba..
Ja, yar ke bapis ane ki umeed me mat rah dooba.........
Main tha chup aur isse tanhai thi hayran...
Main tha shant aur isse tanhai the pareshan..
Tanhai ne kaha tera bichhra yar nehi aayega..
Mujhe lagta hai tu kabhi apna pyar nehi payega......
Tanhai boli are mujhe kuch to bol......
Main itni der se bak bak kar rahi hu tu bhi toh apna muh khol.......
Maine kaha batao kaha likkha hai wo nehi ayegi..
Aur apne saath pyar ki sougat nehi layegi......
Koun si aysi dewaar hai hamare bich jo khari ho sake..
Aisi koi dewaar nehi bani jiske nich dhalte hi hum use tor na sake..
Koun kahta hai ki uska pyar ho gya he pura.....
Kyon ki "pyar" to khud sabd hai jiska pahla aksar hai adhura...
Koun kahta hai ki pyar sirf do jismo ki milan hai...
Mana wo mujhse dur hai par phir bhi mai uska aur wo mera humdam hai...
Ab mai bol raha tha aur chup thi tanhai...
Tabhi samne ayi meri jaan aur bhag gayi tanhai.
Related posts
Share this post
0 comments: